PerfSpot Company Logo

Login / Join Now



Group PerfBoard: Friends POETRY Collection

Ali Gul

All Posts  |  Your Posts  |  New Post
5/27/2008 4:06 AM

Faraz The Beauty of Love

Suna hai log usay aankhbhar ke dekhtay hain
So us ke shahar main kuchh din thahr ke dekhtayhain

Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apnay aap ko barbadkarkay dekhtay hain

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk uski
So ham bhi us ki gali se guzar kar dekhtay hain


Suna hai us ko bhihai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojaze apnay hunar ke dekhtayhain

Suna hai bole to baton se phool jharatay hain
Ye baat hai tochalo baat kar ke dekhtay hain

Suna hai raat use chand takta rehtahai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain

Suna hai hashr hainus ki gazal si aankhain
Suna hai us ko hirn dasht bhar ke dekhtayhain

Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugnothahar ke dekhtay hain

Jo rukay to  gardeshain us ka tawaf kartyhain
Jo chalay to zamanay theher ke dekhtayhain

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamathai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai us kelabon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhtayhain

Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain bansanvar ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamail hain us ki gardanmain
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhtay hain

Suna hai chashm-etasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhtayhain

Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayainqatar ke dekhtay hain

Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke usshajar pe shagufay samar ke dekhtay hain

Bas ek nigah se lutata haiqafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhtay hain

Suna haius ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar kedekhtay hain

Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to usko zamanay thahar ke dekhtay hain

Kisay naseeb ke be parahan usaydekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhtay hain

Khaniyan hi sahisab mubalaghay hi sahi
Agar woh khwab hai tabir kar ke dekhtay hain

Abus ke shahar main tharain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar kedekhtay hain









Copyright ©2009 PerfSpot.com LLC. All rights reserved.
Mobile | Make PerfSpot your Home Page | About Us | Contact Us | Terms & Conditions | Privacy Policy | Unsubscribe | Safety Concerns and Tips | Articles | Advertise with Us | Suggestions